Toh kya huaa....
toh kya hua... jo thodasa bhoola...
mai ko haath me liya aur maikhana bhoola
woh ghadi jab mein tera saharah bana
khile the gul lekin toota guldasta sara...
toh kya hua...
bharoson ka silsila kuch hadh se badhaa
minnaton ko sharton mein tadapta paaya
toh kya hua...
girehbaan mein humne jab apne jhaanka
kaanton ki chaaon mein kaanta khilta paayaa
toh kya hua...
toh kya hua... jo thodasa bhoola...
mai ko haath me liya aur maikhana bhoola...
No comments:
Post a Comment